Youtube Channel Par 4000 Watch Time Aur 1000 Subscriber Kaise Laye
Hello dosto aaj ki is post me main aapko bataunga ki,Youtube Channel Par 4000 Watch Time Aur 1000 Subscriber kaise laye, To dosto ab Youtube par pahle jaisa kuch nhi rah gya hai ,ab sab change ho gya hai,pahle Youtube se paise kamana bahut assan tha, but ab muskil ho gya, par chinta mat kariye, main aapke sath hu, main aapki puri help karunga, to jaisa ki aap log jante hai ki, Youtube ki policy hamesa change hoti rahti hai, aur jo recently jo changes hue hai ki, aapko apne video ko monetize karne ke liye, minimum 4000 watch Time aur 1000 Subscriber hona jaruri hai, to aaj kis post ko padne ke baad aapko pta chal jayega ki,Youtube Channel Par 4000 Watch Time Aur 1000 Subscriber kaise late hai.
Youtube Par 4000 Watch Time Aur 1000 Subscriber kaise laye |
Youtube Channel Par 4000 Watch Time Aur 1000 Subscriber Kaise laye ?
Youtube Par 4000 Watch Time Aur 1000 Subscriber lana muskil jarur lagta hai, but main aapko kuch aise tip dunga, jisse aapka 4000 Watch time aur 1000 Subscriber bahut hi jaldi pura ho jayega.
1.Make Trending Topic Video
Dosto agar aap apne Youtube Channel Par 4000 Watch Time Aur 1000 Subscriber lana chahte hai, to aapko Trending Topic par video bnana padega, ye jaruri nhi ki aap kis topic par video bna rhe hai, bas aapko ye dekhna hai ki, abhi trending kya hai ,bas ussi par video bna dena hai, qki trending topic hi bahut jaldi viral hoti hai.
2.Share On Facebook
Youtube Channel Par 4000 Watch Time Aur 1000 Subscriber lane ka Facebook bhi ek aacha jariya hai, aap iski madad se bahut hi jaldi Watch Time Aur Subscriber bhi pa sakte hai, bas aapko apne video ko facebook par share karna hai, aur sath me aapko apne facebook page me bhi share karna hai, jisse aapke sabhi friends ko notification mil jaye.
3.Create Long Video
Pahle Youtube video ko monetize karne ke liye sirf 10k view ki jarurat padti thi, but jab se Youtube ki policy change hue hai, tab se aapko apne Youtube channel par 4000 Watch Time lana jaruri hai, matlab aapko 240,000 minute Watch Time lana hai, isliye aap apne video ka lenght kam se kam 5 minute ka jarur rakhiye, taki agar 1000 log aapki video ko average 2.30 minute bhi dekhe, to bhi 2300 minute bante hai, isliye aap apne video ko jyada se jyada long rakhne ki kosis kare.
4.Use Eye Catching Thumbnail
Aapko video ke Thumbnail ko aisa banana chahiye, jisse ki agar koi bhi dekhe, to bina click kiye n rah paye, video ke Thumbnail me hi video ke bare me Information Highlight kare, taki video par click karne ke bad Missguide n ho.
5.Use Tech Review
Agar aap apne Youtube Channel par Tech Tutorial banate hai, to Mobile aur Gadget ka review jarur kare, qki india me Mobile aur Gadget bahut sale hota hai, aur log kisi bhi Mobile aur Gadget kharidne se pahle in Gadget ke bare me janna pasand karte hai, aur ek hi video ko bar bar
sabhi Youtube Channel par dekhte hai, tab jakar buy karte hai.
6.Video Quality
Ek acche Youtuber ki pahchan uski video Quality se hoti hai, aapko apne Youtube Video ko kam se kam 720p par banana hai, ya record karna hai, aur video ke content ko saf suthra rakhe, isse video viral hone ka chance bad jata hai.
7.Upload Video Regularly
Agar aap Youtube par tikna chahte hai, to Hafte me kam se kam 2 ya 3 video jarur upload kare, jisse aap apne subscriber ko update rakh sakenge, aur naye video ki wajah se Subscriber bhi aayenge aur Watch Time bhi badega.
8.Comments On Other Viral Video
Aap jyada se jyada Viral Video par acche comment kariye, qki jab aap kisi viral video par comment karte hai, to aapke comment ke sath aapke channel ka name bhi show hota hai, app apne comment ke sath request bhi kar sakte hai, taki aapke comment par click karke, aapke channel par pahuch sake, aur aapki video ko dekh sake.
Aap uper diye gye tip ko follow karke, asani se Youtube par 4000 Watch Time aur 1000 Subscriber la sakte hai, agar aapko ye post pasand aayi ho, to aap apne friends ke sath bhi share kariye, taki agar aapka koi friend Youtube Par 4000 Watch Time aur 1000 Subscriber ke liye struggle kar rhe h, to is post ke padne ke bad apne Youtube Channel ko Monetize kar sake.
ConversionConversion EmoticonEmoticon